About Us > > Events |
|
Wedding Urdu Poetry
Mohnee surat samnay aayee, nain milay to sharmayee
Kaya palti eik nazar mein, bajnay lagay sheahnayee
Ammi iffat ke khawaboun ki taabir hy dulhan Sahar
Ibn-e Asif aur Iram Ke naseeb mein aayee dulhan Sahar
Bad muddat ke eik haseen dilkash khawab ki taabir banee
Dulha Kashif aur dulhan Sahar ki sung sung tasveer banee
Baji Fariha ke armanon ki takmeel hy dulhan Sahar
Jis ka intezar tha her fard ko sham va sahar
Yeh sahar tha, Sahar ka, jo bun gaya Kashif ke sir ka sehra
Bari chahat se kisi malan ne banaya hy sir ka sehra
Husn mein yeh dulhan ka libas hy kitna dilnasheen
Sub bahanain hein dulha dulhan per afree afreen
Aaj Uzair josh mein hy ke oosae mil gayee dulhan Mami
Aur Zaynab ki hy piyari piyari saheli dulhan Mami
Ada va naz se milna yaroun ka hy kamal sehray ka
Bhule bisroun ko milana hy kamal sehray ka
Yarabb in ki aarzoun ka gulistan salamat rakhna
Meray maula yeh oolfatoun ka shabistan salamat rakhna
|
|
|
|
|
|